Mai gayi thi ghoda charane apna dekhte huye bachpan ka haseen sapna..
Sapno me khoyi aisa ki main ghoda ganwa aayi apna….
Sapno me khoyi aisa ki main ghoda ganwa aayi apna….
Khoja charon taraf magar wo mujhe mila na kahin…
Abbu gussa karenge ye soch pairon tale khiskne lagi zameen…
Abbu gussa karenge ye soch pairon tale khiskne lagi zameen…
Tabhi ek bhaiya aaye bole aao tumhe tumhara ghoda dilayen…
Main khushi se sath chal di unke deti unhen lakhon duayen….
Main khushi se sath chal di unke deti unhen lakhon duayen….
Pahunchi kuchh dur jab main pada mujhe pichhe se dhakka…
Ankh fati ki fati rah gayi dil ho gya hakka bakka….
Ankh fati ki fati rah gayi dil ho gya hakka bakka….
Wo bhaiya marne lage mujhe kar diya mujhko behosh….
Paya bhagwan ke ghar me khudko jab aaya mujhko hosh….
Paya bhagwan ke ghar me khudko jab aaya mujhko hosh….
Dekha ek the uncle jinki umar thi abbu jitni…
Maine koshish ki chikhne ki jitni jaan thi laga ke utni….
Maine koshish ki chikhne ki jitni jaan thi laga ke utni….
Magar fir dawa khila ke mujhko kar diya mujhe behosh….
Main beti thi isme bhala mera kya tha dosh…
Main beti thi isme bhala mera kya tha dosh…
Main bhookhi pyasi rahi kaid kai dinon tak…
Mujhe nochate rahe wo bhediye na jane kitne dino tak…
Mujhe nochate rahe wo bhediye na jane kitne dino tak…
Mujhe nasha de de kar kiya mere sath kam ganda ganda…
Maine socha police se kahungi magar ye to unka roz ka tha dhandha…
Maine socha police se kahungi magar ye to unka roz ka tha dhandha…
Sabne apni hawas mitayi sath sath khoob kieri pitai…
Main roti bhi kaise mere ankhon se ansu sukh chuke the….
Main roti bhi kaise mere ankhon se ansu sukh chuke the….
Jab main adhmari ho chuki thi….
lagbhag maut ki neend so chuki thi….
lagbhag maut ki neend so chuki thi….
Tab ek police wale uncle aaye mujhe laga shad wo mujhe bachayen….
Magar wo sabse bole maro mat abhi ise mujhe karne do puri hawas ki ichhayen….
Magar wo sabse bole maro mat abhi ise mujhe karne do puri hawas ki ichhayen….
Tab mera zindagi se moh chhoot chuka tha….
Is baar mera khuda mujhse nahi mera man khuda se rooth chuka tha….
Is baar mera khuda mujhse nahi mera man khuda se rooth chuka tha….
Maine mund li thin aankhe apni tham li thin sansen…
Ab mujhe aur naa jeena tha zahar dard ka aur naa peena tha…
Ab mujhe aur naa jeena tha zahar dard ka aur naa peena tha…
Achha hua jo main mar gayi….
ab mere abba ki sari fikar gayi…..
ab mere abba ki sari fikar gayi…..
Shayad aise hi betiyan marti rahengi….
agar jee gayin to sari umar darti rahege….
agar jee gayin to sari umar darti rahege….
Ab to ankhe apni kholo apni zuban se kuchh to bolo…
Kahin mar to nahi gaya zara apna zameer to tatolo……
Kahin mar to nahi gaya zara apna zameer to tatolo……
#justiceforasifa
Asifa Ki Kahani | Heart Touching Sad Poetry On Asifa | Sad Shayari
No comments:
Post a Comment